Sunday, April 14, 2013


आमों     पर      अब     बाउर        आने               लगा             होगा 
                        बगिया           में             लोगों         की     खटिया           जाने   लगा        होगा 
उस            समय         को        जो          बहुत         आगे        जा       चुका             है 
                        मै         आज       भी          जब            कभी            निहारता          हुं 
                                               ना           जाने            क्यूँ ,,,,                  अनायश             ही 
                                                              अपने                    आप      को  माटी की  सोंधी सोंधी  खुशबु  में पाता हूँ 
कोटवा की रेह ,
                पकड़िया की छाह 
                                    बरगदवा के नीचे का खेला
                                                              वो कुल्फी वो खीरा 
                                                                              वो काकर  वो खर्बुज्जा  
जब कभी भी याद आता है 
                                    ना जाने क्यूँ ,,,,अनायश ही 
                                                            मै अपने आप को वही अपनों के बीच में पता हूँ 
one of my favourites.........................................................

Wednesday, April 3, 2013


निरंतर प्रयास योग्यता से कहीं अधिक श्रेष्ठ है

Monday, August 22, 2011

Dali Pe Betha Parinda Dali Ki Kamzori Ya Uske Hilne Se Nai Darta.Q K Usko Dali Par Nahi Apne Pankho Par Vishwas Hota Hai

parinde ka dard bhara fasana tha...Tute they pankh aur udte huye jana tha...tufaan to jhel gaya per hua afsos...Wo hi dali tuti jis pe us ka ashiyana tha...

Parinde Apne Paon Aur Insan Apni Zuban Ki Wajah Se Jaal Me Phansta Hai. . . . Guftagu Me Narmi Ikhtyar Karo. . . Kyn Ki Lehje Ka Asar Alfaaz Se Zyada Hota Hai

Dil Pe Kya Guzri wo Anjan Kya Jane, Pyar Kise Kehte H Wo Nadan Kya Jane, Hawa k Sath Ud Gaya Ghar is Parinde Ka, Kaise Bana Tha Ghosla wo Tufan kya jane.so sad

sher-o-sayri

HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.
Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen
mat chodna.

Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay, Roz mar mitney walay naam bohut hain.

Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.

Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.


Yun to umar hai bahut choti si,
Par har chote se lamhe ko tu ji bhar ke ji le,
Khwab si is zindagi mein, Khwab aise bun,
Ki leke rukhsat is jahaan se khule jab aankhein teri
Tab kar khuda se saamna kabhi jhuke na teri nazar......


HAWAON SE KEH DO APNI AUKAAD MEIN RAHE
HUM PAIRO SE NAHI HOSLO SE UDA KARTE HAIN


SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE


Nigaho mein manzil thi,
gire aur gir kar sambhalte rahe,
hawao ne bahut koshish ki,
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe.

agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.



Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye



saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se



Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai

zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.

raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain.


tufaan ki kami nahi jeevan mein
ladte hue safar karna hoga
jo milenge zakhm safar-e-rahon mein
unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga
laakh zakhm khaane par bhi
har zakhm naya hoga
tajurba kitna hi kyu na ho
har safar naya hoga


parindon ko manzil milengi yakeenan
yeh faile hue unke par bolte hai

wohi log rehte hai khaamosh aksar
zamaane mein jinke hunar bolte hai......

Tere Liye Jo Rab Ne Sajaya Hai
Gulsitaan Nahi Sari Bahaar Hai
Tujhe Ek Gul Ki Talaash Hai Aur
Gulshan Ko Tera Intezaar Hai
Na Ho Tu Udaas Yaqeen Rakh
Zara Apne Sapne Sanwaar Le
Na Tu Dil Ko Apne BeQaraar Kar
Tu Kai Diloon Ka Qaraar Hai.


koshishon ke bawajood....
ho jaati hai kabhi haar...
hoke niraash mat baithna...
mann ko apne maar...
badte rahna aage sada...
ho jaisa bhi mousam...
paa leti manzil chinti bhi...
gir gir ke har baar...


Apni zameen, apna naya aasman paida kar,
Mangane se zindagi kab milti hai E dost,
Khud hi apna naya itihaas paida kar.


Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,
Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,
Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,
Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,
Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!
Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai,
Ja-ja kar khaali haath laut aata hai,
Milte na sehej se moti paani mein,
Behta duguna utsah isi hairani mein,
Mutthi uski khaali har baar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti!



A-safalta ek chunauti hai swikaar karo,
Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo,
Kuch kiye bina hi jai-jai kaar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki kabhi haar nahi hoti!!


HEERE KI SHAFAK HAI TO ANDHERE MEIN CHAMAK,
DHOOP MEIN AAKE TO SHISHE BHI CHAMAK JATE HAIN.


Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
Kitnon ko raste pe lana hai tumhe,
Apne haath ki lakiron ko mat dekho,
In lakiron se aage jana hai tumhe.


Jo beet gayi so beet gayi,
Jo beet gayi so beet gayi,
Jo chal rahi hai wo batate hain,
Ab to jahan bhi chale jate hain
Wahan jaa kar chaa jate hain.


Bhujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toophaan se kashti bhi nikal sakti hai,
Hoke maayus yoon na apne iraade badal,
Teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.


Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.



Gum ke andhero me khud ko yuh na bekarar kar...
Gum ke andhero me khud ko yuh na bekarar kar....

Subhah zarur aayegi
Subhah ka intezaar kar !


Sar Jhukaogay to pathar bhi dewtaa ho jayega,
Itna na chaho ussay, woh bewafa ho jayega.
Hum bhi dariya hain, humein apna hunar maloom hai,
Jis taraf chal padey raasta ho jayega.


Yahi hai zindagi apni, yahi hai bandagi apni
ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayi apni.



Humko mita sake ye zamane mein dam nahi,
Hamse zamana khud hain, zamane se hum nahi





Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjna
Ki samandar maen ravani nahi hae,
Jaab bi uthe ge tuffan ban kar uthe ge,
Abhi uthne ki thani nahi hae.




Na Sangash Na Taqlif
To Kya Majha Hai Jine Mein
Bade Bade Tufaan Tham Jate Hai
Jab Aag Lagi Ho Sine Mein




Aisa Nahi Ki Raah Mei Rehmat Nahi Rahi
Pairo Ko Tere Chalne Ki Aadat Nahi Rahi
Kashti Hai To Kinara Nahi Hai Door
Aagar Tere Irado mein Bolandi Bani Rahi


Koi Sath De Na De Jalna Mujhe Aata Hai
Har Aag Se Waqif Ho Jalna Mujhe Aata Hai



Aaj Baadlo Ne Fir Sajish Ki
Jaha Mera Gar Tha Wahi Baarish Hoi
Aagar Falaq Ko Zid Hai Bijliya Girane Ki
To Hame BHi Zid Hai Wahi Par Aashiya Banane Ki


Abhi To Asli Manjil Pana Baqi Hai
Abhi To Irado Ka Imtihaan Baqi Hai
ABhi To Toli Muthi Bar Zamin
Abhi Tolna Asman Baqi Hai




Na Pocho Ke Meri Manjil Kaha Hai
Abhi To Safar Ka Irada Kiya Hai
Na Haronga Hosla Umar Bhar
Ye Mene Kisi se nahi khud se vadha kiya hai




Zindgi Me Kabhi Udaas Mat Hoona
Kabhi Kisi Baat Par Nirash Maat Hoona
Ye Zindagi Ek Sangarsh Hai Chalti Hi Rahegi
Kabhi Apne Jine Ka Aandaz Mat Khona




Hawa Mein Taash Ka Ghar Nahi Bante
Rone Se Bigde Muqadar Nahi Bante
Duniya Jitne Ka Hosla Rakh -e- Dost
Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Bante




Agar Sikhna Hai Diye Se ,To Jalna Nahi Muskan Sikho
Agar Sikhna Hai Surya Se,To Dubna Nahi Uthan Sikho
Agar Pahochna Ho Shikhar Par To Raah Par Chalna Nahi
Raah Ka Nirman Sikho




Kahin  par dharam bante hain, kahin par iman bante hain,
Kahin par hindu,sikh,isaee to kahin muslmaan bante hain,
Hamari mehfil main akar dekh "saki" yhan insan hi insan
bante hain.





Subha Hoti Hai Sham Hoti hai
Zindagi Yo hi Tamam Hoti Hai
Zina Sikhna Hai To Ebizers Se Sikho
Zine Har Modh Par Salam Hote Hai





Husn Ko Chand Kehte Hai,Jwani Ko Kamal Kehte Hai
Zabh Nam Aaya eBIZ Ka to Use Gazal Kehte Hai
Sangmarmar Se Tarasha Hai Mere eBIZ Ka Badan
Dekhne Wale Abh Ese TajMahal Bhi Kehte Hai




Josh Kya Dikhaya Jo Dikhaya Afsano Main
Hai Dum To Dikhao APne Karnamo Main




Pilane Se Pehle Batado Zara Sa
Badi Tadaf Hoti Hai Pine Se Pehle
Nirali Aada Hai Mere Sakiya Ki
Girata Bahot Hai Uthane Se Pehle





In Nafrat Ki Divaro Ko Todega Kon
Agar Digaj Nahi Karenge To Pehl Karega Kon
Is Duniya Mein Bahot Raste Hai Chalne Ki Liye
Agar To Sach Ke Raste Na Chala to Tujhe Yaad Karega Kon
Har Azadi Se Pehle Marna Padta Hai
Agar To Marne Se Dar Gya To Tujhe Azad Karvavega Kon




Humne Socha Ke Hum Hi Chahte Hai Un Ko
Magar Unko Chahne Walo Ka Karva Nikla
Dil Ne Kaha Shikayat Kar Us Khuda Se
Magar Unke Chahne Walo Me Khuda Bhi Nikla




Kal Tak Door Se Dekhte The Karva
Aaj Karve Ka Hisa Baan Gaye
Kaal Tak Pehchaan Na thi Koi
Aaj Ghar Ghar Ka Kisa Ho Gaye




Agar Abh Bhi Khon Na Khola
Wo Khon Nahi Wo Pani Hai
Jo Jwani Apne Desh Aur Maa Bap Ke Kaam Na Aaye
Bekar Wo Jwani Hai





Raahe Dushwar Bhi Ho Sakti Hai Manjil Ke Liye
Hame Phir Bhi Gir Gir Kar Sambalna Hoga
Waqt Chahe Ga To Kanto Par Bhi Chalenge Hum
Apni Himat Se Jamne Ko Badlna Ho ga
Manjil Pane Ki Kasak Dil mein Itni Tej Lage
Agar Hum Chahe To Pathar Ko Bhi Pigalna Hoga
Lagade Aag Pani Mein ,Hum Woh Irada Rakhte Hai
Pairo Tale Zamin To Kya Hum Aasman Bhi Rakhte Hai
Aapne Hatho ki Lakiro Ko Badal Sakta Hoon Main
Bande Parvat ne Itni Taqat Di Hai
ke Gir Kar Phir Sabhal Sakta Hoo Mai







Sath Nahi Rehne Se Rishte Nahi Tuta Karte
Waqt Ki Dundh Se Lamhe Nahi Tuta Karte
Log Kehte He Mera Sapna Toot Gaya
Tooti Need Hai Sapna Nahi Tuta Karte 



Nigaho Mein Manjil the,
Gire AUr Gir Kar Sambhalte Rahe,
Hawao Ne Bahut Koshish Ki
Magar Chirag Andhiaon Mein Bhi Jalte Rahe



Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barsti Nazar Aaye
Har Lamha Teri Taqdir Swarti Nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile To Jo Chahe
Dua Khod Teri Honthon Ko Tarsti Nazar Aye



Tufanoo Ki Kami Nahi Jeevan mein
Ladte Hue Safar Karna Hoga
Jo Milega Zakham Safar-e-raho Mein
Unhe hi Zindagi Ka Tajorba Kehna Hoga
Lakha Zakham Khane Par bhi,Har Zakham Naya Hoga
Tajurba Jitna Bhi Ho ,Har Safar Naya Hoga

Parindon Ko Manjil Milege Yakeenan
Yeh Faile Hue Unke Par Bolte Hai
Aksaar Woh Log Khamosh Rehte Hai
Zaamane Mein Jinke Hunar Bolte Hai


Koshish Ke Bawajood..Ho jaati hai kabhi Haar
Hoke Niraash Mat baithna Ae Yaar.Maan ko apne maar
Badte rehna age ho jaisa bhi Mausam
Paa Leti Manjil chinti bhi..Gir Gir Kar kai Baar..


Samne Ho Majil To Raaste Na Modna
Jo Bhi Man Mein Ho Woh Sapna Mat Todna
Kadam Kadam Par Milegi Mushkil Aapko
Bus Sitare Chune Ke Liye Jameen Mat Chodna.



Hawaon Se Kehdo Apni Aukat Mein Rahe
Hum Paaro Se Nahi Hoslun Se Udte Hai



Pani me tasvir bana sakte ho tum;
Kalam ko samsher bana sakte ho tum;
Kayar hai wo jo takdir pe rote hai
Takdir pe takdir bana sakte ho tum



manjile to milti hain,bhatak kar hi sahi
par gumrah to wa hain,jo ghar se niklte hi nahi



Success is the journey from one failure to another without loosing any type of Enthusiasm
if today you are fail then congratulation because your journey is started towards success    ---Mr.Sharad Patil



MUSHKILO SE BHAG JANA ASAN HOTA HAI,
HAR PEHLU ZINDAGI KA IMTIHAN HOTA HAI,
DARNE WALO KO MILTA NAHI KUCH ZINDAGI ME,
LADNE WALO K KADMO ME JAHAN HOTA HAI.......


Zindgi kanto ka safar hai
hausla iski pahchan hai
rasto par to sabhi chalte hai
jo raste banaey wahi insan hai



Hote Hai Hosle Boland Jinke
Unko Hi Milte Hai Raste
Yeh eBIZ Nahi Hai Dosto
Bujdilo Ke Vaste


Raat ke tukdo pe palna chhod de,
Shama se kahna ki jalna chhod de,
Mushkile to har safar ka husn hain,
kaise koi raah chalna chhod de



MAT KAR VISHWAS IN HATHO KI LAKEERO PAR,
TAKDEER TO UNKI BHI HOTI HAI
JINKA HAATH NAHI HOTE.


Life is not a parking space ,  It is a racing track ...
Keep on moving ..,no matter when ,where and how
you start but reach your goal and
make a new record in this world



  Bulbul ke paro mr baaz nahi hote,
kamjor aur bujdilo ke haatho me raaj nahi hote,
jinhe pad jati hai jhuk kar chalne ki aadat,
dost un siro par kabhi taaj nahi hote


Success is not a matter of handling the best
and winning the race;
success is the matter of handling the worst
and finishing the race..



 
The moment you think of giving up,
think of the reason why you held for so long.
"DO  OR DIE" is an old saying,"DO IT BEFORE
YOU DIE"  is the latest..



Champions are not supernatural .
They just fight one more second when all else quit.
Sometimes one more second of effort
gives you VICTORY..


Har pal pe tera hi naam hoga,
Tere har kadam pe dunia ka salam hoga
Mushikilo ka samna himmat se karna,
Dekhna ek din waqt bhi tera gulam hoga

"The Magic of Master Thought."
Nothing fails like Failure Thinking
& Nothing succeds like Success Thinking


 
Agar ab bhi door Sawera hain,
Ismein kasoor tera hain,
Kyaon nafrat karta hain kaali raat se,
Agar tere andar khud andhera hain...



Harta jo nahi mushkilo se kabhi jiska maqsad
Hai manjil ko pana dhoop mein dekhkar thodi si chhaya
Jisne sikha nahi baith jana aag jisme ''LAGAN" ki jalti hai Kaamyabi usi ko milti hai.                .Naveen Chauhan Ji



Badi muddat se chaha hai tujko ,
Badi mushkilo se paya ai tujko
Bhulne ki soch bhi kaise ,
kismat ki lakeeron se churaya hai tujko.



MUSHKILEN DIL KE IRADEY AAZMAEGI,
KHWABON KE PARDE NIGAHO SE HATAEGI,
GIRKAR HAUSALA MAT HAARNA AE DOST,
YEH THOKREN HI APKO  CHALNA SIKHAEGi


Manjile unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti h ai
Pankho se kuch nahi hota
Hoslo se uddan hoti hai...



Zindagi ki asli udan abhi baaki hai,
Hamare iradon ka imtihaan abhi baaki hai,
 Abhi to naapi hai kuch muthi bhar zamin,
Aage to saara Aaasman abhi baaki hai  .



  Knowing that U should be responsible
Is just the battle half won;
Proving that U can live up to that
Is where lies all the fun...



Zarron se guzar kar chamak chhod jaunga,
Pahchaan apni dur tak chhod jaunga,
Khamoshi ki maut gavara nahi mujhko ,
Tut kar bhi kanak chhod jaunga,....


Ek khoobsurati,
ek tazagi,
ek sapna,
ek sachai,
ek kalpana,
ek ehsas,
ek aastha,
ek vishwas,
yehi hai ek ache din ki shuruaat-



Life is like a piano white keys are happy moments
& black keys are sad moments, but remember both keys
are played together to give sweet music,
its  life  so enjoy the life...


  Muskilen dil k irade azmati hain,
Thokren insan ko chalna sikhati,
Girke mat harna tum,
Yahi Thokren Hume Chalna Sikhati Hai ..


 
Pal pal tarse the us pal ke liye,
Magar Yeh Pal aaya bhi to kuch pal ke liye ,
Socha tha use zindagi ka ek haseen pal bana lenge ,
Par wo pal ruka bhi to bas ek pal ke liye...


 
Hathon ki lakiron se koi sikandar nahin hota!
Jo khud ko saunp de muqaddarko ,
uska muqaddar nahin hota.


 
Shaam suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parvane ko jalna sikhati
Hai, girne wale ko hoti to hai taqleef,
Par thokar insaan ko chalna sikhati hai


Smooth roads never make gud drivers..............
so never ask LIFE
"Why Me???"
instead challenge it & say     "TRY ME"

Monday, January 17, 2011

makan malik

  HI,
AAJ BADE DINO BAAT AIK AISE DOST NE PHONE KIYA JIS SE MIL PANA IS K BINA NAHI HO PATA ...,HIMANSHU MUDGAL     AAAJ USNE  ORKUT SE MERA NO LE K CAAL KIYA TO KAFI ACCHA LAGA   ,,,RISHIKUL ME MUJHE  MERE NAM SE KAM AUR UPNAM SE JYADA  JANTE THE    . JAB USNE LADEN KEH KAR BAAT KI MAI TABHI SAMAJ GYA KI KOI RISHIKUL KA HI HAI    PHIR USNE NAAM  BATYA ...KAFI DER TAK BATEIN HUI AUR DONO KO HI  KAFI ACCHA LAGA,,,
  AAJ HI   HAMARI   AUR   HAMARE   MAKAN MALIK   SE THODI NOK -JHOK HO GAYI ,,,KUCH NAHI BHAI AAP TO JANTE HI HAI    KIRAYEDAR   AUR MAKAN MALIK    KA TO CHUHE AUR BILLI KA KHEL CHALTA HI REHTA HAI


UNHE HAM   SE NAHI HAMARE DOSTON SE DUSMANI HAI
KYON KI HAM TO ROOM SE BAHAR  KAM HI JAATE HAIN PAR BHAI  BANDU AATE  JAATE REHTE HAIN    AUR UNHE   APNA MAIN GATE KA TALA KHOLNA PADTA HAI...........


UNHE   TALA   NA KHOLNA PADE    ISLIYE HAMNE   SOCHA GATE   PE KHADE KHADE HI BAAT KAR LIYA JAYE ........BAS YEHI BAAT UNHE APNE SHAAN K KHILAF LAGI   AUR    AUR APNI PATNI SHIRI    SE KANA PHUSI KARNE LAGE......


HAMNE PUCHA KOI PROBLEM HAI KA BHAIYA?
NAHI KUCH NAHI BAS YEHI    YAAR   DOST  KUCH JYADA AATE HAIN


"JI HA KUCH AISI HI    BATEIN HUI THI"

KHAIR JANE DIJIYE   YE BATEIN  ,,,,,,, LAGTA HAI   AB KAHIN AUR JAANE KA SAMAY AA JUKA HAI


TO CHALIYE  KAHIN AUR BASERA KARTE HAIN ...
EK NAYA ROOM, NAYE LOG,NAYI UMANG AUR JOSH K    SATH NAYA  AASIYANA  BASATE  HAIN

Sunday, January 16, 2011

RANG JAMA K JAYENGE........

JI HA,,,,,,    
                 AAJ KA    EXTERNAL TEACHER SAYAD YAHI SOCH KAR AAYA THA

 TABHI TO     SABHI KO CHAKKAR ME DAAL KAR KHUD GHAN CHAKKAR HO GAYA  




     SAHI KAHU TO ABHI TAK MAI KABHI AISE EXAMINAR K HATHON NAHI CHADA THA 
AB KIYA BHI KYA JA SAKTA HAI       AAKHIR ZINDGI ME SABKUCH  PAHLI BAR  HI HOTA HAI 


MERA MUH  DEKHNE  AAYE HO YAHAN?
JOB  KAISE  LAGEGI?...........GHUUS DE KE?
NIKAL JAYO..
TUMSE  TO B.A . BHI  NAHI  HOGA..
TUM  SAB  KE  ZERO  KAR  DUNGA,
TUMAHARI   TO  BACK  LAGA  DUNGA,
SAB  K  SAB  GADHE  HO,
ACCHA!  APNA  ROLL  NO.  TO  BATANA..


JI HA YE WAHI  WORDS HAIN JINKA HAM SABHI NE DAT KAR SAMNA KIYA
        VAISE KUCH  BHI HO MUJHE LAGTA HAI ,,,,,,,,,
PRACTICAL K BAAD MERE DOST SABSE JYADA KHUSH ISI PRACTICAL SE THE KISI KA BHI CHERA GIRA HUA NAHI THA SABHI  NE IN PALON KA BHARPUUR ANAND LIYA
 KHAIR DIN TO GUJAR GYA ,
               PAR KISI KE CHALE JANE SE HI USE BHULAYA TO NAHI JATTA .........