Tuesday, January 19, 2010

Kuch nazuk palo ke daastan ...!!

Tumse ruth kar dekh liya maine



Apne aap se bichar kar dekh liya maine.


Kali raat key saaye ne ghera hai mujhe


Neend ko door jaate dekh liya maine


Din badla ae dost, raat badli ja rahi bhi


Haan, apne shukun badalte dekh liya maine.


Tumse ruthh kar dekh liya maine.


Apne aap se bichar kar dekh liya maine.














Aansu jo beh rahey hein inhein behney do


Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do


Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom


Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!


Mila to kia mila tumhein chahney kay baad


Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do


Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna


Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do


Mar gaye auroon kay liye ham Sanaam


Tum apni khatir hamko Zinda rehney do...














tumhe bhoolna chahte hain


phir kyon yaad aate ho


jab se bichre ho, aawaaz diye jaate ho


talklifiyaa jamanebhar ki pilaa de mujhe


kyon is tarah nazar andaaz kiye jaate ho.














Pyar ka behta dariya hoo lakien,


millan sagar se door raha.


Jane kasi kismat hai apni,


Milkar bhi milne se majboor raha.


Chahat ki ujli rahoo par bhi,


Dil chahato se bhaut door raha.


Teri judaie mein ae humsafar mera,


Mera saya bhi mujse door raha.


Haa yeh such hai berukhi ke kharo se,


Mera dil ykeenan mehfooz raha.


lakien yeh bhi such hai mera sanam,


Teri pyar ki mehak se mehrum raha......."














Vo lamhe jab hum sath hua karte the


Dil me mere armano ke diye jala karte the


Choti Choti bate teri choti si vo mulakate


Jisme sirf hum aur tum hua karte the


Aaj vahan sirf virane he


Ek khamoshi ki chaddar odhe


sham ab guzarti he


Kabhi har sham jahan teri yadon ke mele laga karte the


Kash kabhi tum samz pate un baton ko


Jo har bar hum tumse kiya karte the














har inkaar tere iqraar se acha hoga


mera har din teri us raat se acha hoga


na ho yaqeen to jhaak lena apni doli se


mera janaza teri baraat se acha hoga














dar dar bhatakte hai arman ki tarha


har koi milta hai anjaan ki tarha


iss duniya se khushi ki aas kya rakhni


yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha














Usko chhaha bhi to ikraar karna na aaya…


Kkt gai umr saari hamein pyaar karna na aaya….


Usne maanga bhi agar kuchh to judai maangi


Aur…. hamen inkaar karna na aaya














Roone de aaj humko sathi,














kisi ke yaad me aaj aakhein sujhane de hai






















jo seene me kaid dariya who choot jayega,














hai itna dard mere seene me ki tera bhi daaman bheeg jayega



Zindagi se badi Saza hi nahi


Aur kya jurm hai Pata hi nahi

Itne hisson mein butt gaya hoon main

Mere hisse mein kucch bacha he nahi







Kuch is adaa sey khaila tha woh ishq ki baazi

Mei apni fateh samajhta tha maat honey tak

Mei us ko bhoolna chahoo to kaya karu Aadil

Jo mujh mei zinda hai khud meri zaat honey tak



Dil jab toot'ta hai to aawaz nahi aati,





Har kisiko mohabbat raaz nahi aati...







Yeh to aapne aapne nasib ke baat hai ,







koi bhoolta nahi aur kisi ko hamari yaad nahi aati.















Zakham itne gehere hai izhaar kya kya kare,







hum khud nishana ban gaye vaar kya kare,







mar gaye hum magar khuli rahi aankhe...







ab is se zada unka intzaar kya kare...!!















Sazaa dene wale raazaa phuchte hai,







jeene ke humse vajhe puchte hai











dete hai khud he zeher humko aakar











phir kitna hua asar yeah puchte hai



















Jab pyar karna seekh liya,

toh pyar nibhana bi seekh liya,

jab aaye aapki yaad toh,

palkon ko jhukana bhi seekh liya,

is dar se ki koi dekh na le ye aansoo,

har gham mein muskurana bhi seekh liya















Bheeg jati hai palkhe tanhai me,







Darte hai koi jaan na le,







Pasand karte hai akele chalna...







Kahin rote huye koi pechan na le















Mat puch mere sabr ki intha kaha tak hai,







tu sitam kar le tere takat jaha tak hai,







wafa ke umeed jinhe hogi unhe hogi,







Hume to dhekhna hai tere bewafaeee kaha tak hai.......















Tumse ruth kar dekh liya maine

Apne aap se bichar kar dekh liya maine.

Kiye they jo wadey, khain thi jo kasmen

unhe tod kar dekh liya maine

Waise to kasmen tot ne se kuch nahi hua

Haan, dil main dard ko bastey dekh liya maine

Kuch nazuk palo ke daastan ...!!





Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye


kisi se pyar na karna khuda ke liye,


jab lagegi ishq ke adalat ek din,


tum hi chune jaoge saza ki liye






Aansuo ko bahut samjaya tanhai mein aaya karo,


mehfil mein hamara mazak na uraya karo,


ispar aansoo tapak kar bole,


itne logo mein aapko tanha patey hai,


isliye chale aate hai!






Hasane ke bad kyon rulati hai ye duniya ?


Jane ke bad kyon bulati hai ye duniya ?


Z indgi mein kya kuch kasar baki thi


jo marne k bad jalti hai ye diniya






Taarikh ki duniya mein kabhi aisi bhi dor aayi hai…


Lamhon ne khata ki hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai…


Zindagi mein do hi lamhen badi mushkil se guzaare ,


Ek tere aane se pehle…. Aur ek tere jaane ke baad…
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar



Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah


Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen


Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah






Mast Nazron se dekh lenaa tha..


Agar tamanna thi Aazmane ki..


Hum to Behosh Yun hi ho jaate..


Kya zaroorat thi muskurane ki..






Chehrey Per Banawat Ka Gussa,


Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,


Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye


Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.














Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,


Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,


Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki


us ke bina jiya nahi ja sakta.














Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega


Door hone ke baad kaun kise yaad aayega


Jee lo ye pal jab humsath hai


kal ka kya pata, waqt kahan le jayega














Kuchh pal ke liye aa jaao vaapis ,


Hum dil ki kahaani keh denge…


Samje na tum aankho se ;


Voh baat zubaani keh denge….














Zindagi jaise ek sazaa si ho gai hai ,


Gum ke sagar mein is kadar kho gai hai ,


Tum aa jaao vapis yeh gujaarish hai meri ;


Shaayad muje, Tumhaari aadat si ho gai hai…














Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,


tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,


hai meri pyaar mei itna dum,


apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon














Har ishq ka matlab gam nahi hota,


Duriyo se pyar kam nahi hota,


Waqt bewaqt ho jati hai aankhein nam,


Kyonki yaado ka koi mausam nahi hota.














Yaad aate hai to zara kho lete hai


Aasu ankho me uter aye to zara ro lete hai


Nind aakho me aate nahi laken


Aap khwobo me aapge yahi soch kar so lete hai














Ret pe kabhi naam likhte nahi


Jo likhte hai wo naam kabhi tikte nahi,


Log humein patthar dil kahete hai,


Lekin wo jante nahi,


patthar pe likhe naam kabhi mitte nahi

nagme--2

Woh Aakh Hi Kya Jo Pyar Ki Zubaan Na Samjh Sake,


Hoton To Hile Bina Hi ,sab Kuch Ankh Se Kehlete Hai,

Pyar Ko Bebasi Na Kaho Mere

Keh Ne Ke Liye Sahara Dondh Na Padhe Tumhe.

























ki thi suruaat ek choti si mazak se..

mazak dard ban jayega ye malum na tha..

samajhte the jise hum apna YAAR..

wo ek din PYAR ban jayega ye malum na tha..

























Dil Ki Dharkan Ko Dharka Gaya Koi

Merey Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,

Hum Tu Anjanay Raston Pay Chal Rahay Thay

Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Seekha Gaya Koi!!!!!!















Dil ko araam milta hai tujhe pane se







mere saans main saans hai bas tere hi aane se.







kaise tuh chord jati hai mujhe bhari mehfil main tanha

kya dar lagta hai tujhe mere tere karib aane se

























Kitna Bhi Chaho Na Bhool Pao Gaya Hume

Jitni Door Jao Gaya Nazdik Pao Gaya Hume

Mita Sakte Ho To Mita Do Yaaden Meri

Magar Kya Sapno Se Juda Kar Pao Gaya Humhe

























Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag

Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi























Na Koi Kisi Se door Hota Hai

Na Koi Kisi Ke Kareeb Hota Hai

Pyaar Khud Chal Kar Aata hai

Jab Koi Kisi Ke Naseeb Main Hota Hai













jab se tum ho zindagi mein aaye

khushiyon ki baarat ko saath laye. . .

khuda ne bhi sun li fariyaad meri

dekho to fiza mein kitne gul hai muskuraye















Kuch jani kuch anjani hai

Sabki apni apni kahani hai

Ansu bhi hain , Khushiyan bhi hain

Kante bhi hain , Kaliyan bhi hain

Par choti se ye zindagani bhi hai















Izhaar mohabbat ka karne se dar lagta hai

tum se pyar karne se dar lagta hai

badnam hone se dar lagta hai

badnam hokar barbaad hone se dar lagta hai

kaise kahoon haal apne dil ka

zamane se dar lagta hai

bhool jao tum mujh ko mil kar bichar jaane se dar lagta hai







Naam sanso pe likha hai aapka

Zindagi meri tohfa hai aapka

Dil me dhadkan hai aapke naam ki

Jaane kya rishta hai mera aapka







zindagi me kisi ko sab kuch nahi milta,

kisi ko khushi to kisi ko gam nahi milta,

apki kismat me to hai chand or sitare mere sanam ,

is liye to apka hamse naseeb nahi milta,

milte hai katre dariya me,dariya milte hai sagar me,

par kaisi kismat hai sagar ki,

yeh kabhi kisi me nahi milta







Kabhi Sab Kuch Keh Kar

Kabhi Khaamosh Reh Kar

Kabhi Bohut Door Ja Kar

Kabhi Paas A Kar

Wo Mujhey Ye Ehsaas Dilata Hai

Ke Us Ki Mohabbaton Ka, Shiddaton Ka Koi Shumaar Nahee

Magar Us Se Poocho

Bata Kar Hi ki Jaati Hai?

Kiya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai?







kuch mohabbat ke fasanay likkhay,

kuch naay aur puranay likkhay.

yaad ka ek silsila likkha,

khwab saray woh suhanay likkhay.

hum nay ek ek mohabbat likkhi,

aur kuch guzray zamanay likkhay.

marmari banhon ko apna likha,

aur phir inn kay diwanay likkhay.

unki zulfon ko ghata sa likkha,

saay phir uss kay suhanay likkhay.

khud ko phir unka Mussawir likkha,

khwab phir kiya kiya najanay likkhay







Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!

AnkhoN mein haqeekat hai ab, koi sapna nahiN hai!!

Zindgi se mila to laga, saaNs baaki hai!

Kareeb aaye to ho phir bhi, talaash baaki hai!

Dil jo jhoomta hai ab, koi maamooli dharakna nahiN hai!!

Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

Hawa ke jhoke sunaate haiN, tumhara raag mujhe!

Khushboo phooloN ki dilati hai, tumhari yaad mujhe!

Pyaar ki is raah se, kabhi palatna nahiN hai!!

Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

Daaman khwahishoN ka meri, bhara sa lagta hai!

Bahut sa waqt tumhaare saath, jara sa lagta hai!

Dil ko samjhata hoon baar baar, tujhe tadapna nahiN hai!!

Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!







zindagi kisi ki amanat nahi hoti.......

amanat me kabhi khayanat nahi hoti

dil ko sanbhal kar rakhna mere dost

ishq ki qaid me kabhi zamanat nahi hoti







Meri Raatein teri Yaadon se saaji rehti hain

Meri saansein teri khushboo me basi rehti hain

Meri Ankhon me tera sapna saja rehta hai

Han mere dil me tera aks basa rehta hai

nagme

Ae kalam zara ruk ruk ke chal












kya gazab ka makam aaya hai











thori der thehar ke chal











teri nok ke niche mere mehboob ka naam aaya hai















Ashiq ankho ki baat samaj lete hai



sapno me unka ehsas kar lete hai,

rota hai asman zamin ke liye

log pagal hai use barsat samaj lete hai.













Hawa Jab Teez Chalti Hai

Tumhari Yaad Aati Hai

Jab Pattey Sar-Saratey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai



Kabhi Bholey Sey Shab Ko

Meray Dil Main A Ker Dekho

Hai Aik Mahfil Sajji Hoti

Aur Ziker Tumhara Hota Hai



Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat

Main Nay Ki Hai Tum Sey

Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain

Aur Ziker Tumhara Hota Hai



Kabhi Chanda Ko Main Dekhon

Kabhi Tarey Main Gintta Hoon

Kabhi Chandni Muskurati Hai

Aur Ziker Tumhara Hota Hai



Zamana Hai Bohat Zalim

Kahin Yeh Chhen Na Lay Tum Ko

Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon

Aur Ziker Tumhara Hota Hai















Jo sab daite hai vo hum nahi daige

pyaar jab bhi dege kam nahi daige

yakin na ho to aajma kar deck lena

jindgi mai kabhi aapko gam nahi daige”







“mitti meri kabra se utha raha hai koi,

markar bhi aaj muje yaad aa raha hai koi,

e mere khuda ek din ki jindgi or dede muje,

meri kabra se udas ja raha hai koi.”







jamin ke paap chhupane ko gagan hota hai,

man ke paap chhupane ko badan hota hai,

sayad mar kar bhi paap chhupate hai log,

esi liye har laash par kafan hota hai”







Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai

Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai

Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko

Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai



Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko

Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai

Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti

Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai



Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka

Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai

Khooda Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai

Haan Piyaar Nahi, Iahq Nahi, Ibadaat Ki Hai







Fiza par asar hawaon ka hota hai,











mohabat par asar adaon ka hota hai ,











koi aise he kise ka diwana nahi hota ,











Kuch kasoor to nigahon ka bhi hota hai

Monday, January 18, 2010

THE LAST DAY.......18.JANUARY

AAJ  THIRD SEM PURI TARAH SE OVER HO GAYA .

SAB PRACTICALS AND THEORY PAPERS AUR KHATTI MTHI YADEN ,AAJ K BAD BAS YADON ME HI RAH JAYENGI ....


YE SEM PEHLE SEMS SE ACCHA TO NAHI GUJRA ,,LEKIN PHIR BHI THEEK HI RAHA

HOPING BETTER FOR COMING SEMESTER