Tuesday, January 19, 2010

Zindagi se badi Saza hi nahi


Aur kya jurm hai Pata hi nahi

Itne hisson mein butt gaya hoon main

Mere hisse mein kucch bacha he nahi







Kuch is adaa sey khaila tha woh ishq ki baazi

Mei apni fateh samajhta tha maat honey tak

Mei us ko bhoolna chahoo to kaya karu Aadil

Jo mujh mei zinda hai khud meri zaat honey tak



Dil jab toot'ta hai to aawaz nahi aati,





Har kisiko mohabbat raaz nahi aati...







Yeh to aapne aapne nasib ke baat hai ,







koi bhoolta nahi aur kisi ko hamari yaad nahi aati.















Zakham itne gehere hai izhaar kya kya kare,







hum khud nishana ban gaye vaar kya kare,







mar gaye hum magar khuli rahi aankhe...







ab is se zada unka intzaar kya kare...!!















Sazaa dene wale raazaa phuchte hai,







jeene ke humse vajhe puchte hai











dete hai khud he zeher humko aakar











phir kitna hua asar yeah puchte hai



















Jab pyar karna seekh liya,

toh pyar nibhana bi seekh liya,

jab aaye aapki yaad toh,

palkon ko jhukana bhi seekh liya,

is dar se ki koi dekh na le ye aansoo,

har gham mein muskurana bhi seekh liya















Bheeg jati hai palkhe tanhai me,







Darte hai koi jaan na le,







Pasand karte hai akele chalna...







Kahin rote huye koi pechan na le















Mat puch mere sabr ki intha kaha tak hai,







tu sitam kar le tere takat jaha tak hai,







wafa ke umeed jinhe hogi unhe hogi,







Hume to dhekhna hai tere bewafaeee kaha tak hai.......















Tumse ruth kar dekh liya maine

Apne aap se bichar kar dekh liya maine.

Kiye they jo wadey, khain thi jo kasmen

unhe tod kar dekh liya maine

Waise to kasmen tot ne se kuch nahi hua

Haan, dil main dard ko bastey dekh liya maine

No comments: