Tuesday, January 19, 2010

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar



Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah


Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen


Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah






Mast Nazron se dekh lenaa tha..


Agar tamanna thi Aazmane ki..


Hum to Behosh Yun hi ho jaate..


Kya zaroorat thi muskurane ki..






Chehrey Per Banawat Ka Gussa,


Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,


Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye


Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.














Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,


Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,


Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki


us ke bina jiya nahi ja sakta.














Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega


Door hone ke baad kaun kise yaad aayega


Jee lo ye pal jab humsath hai


kal ka kya pata, waqt kahan le jayega














Kuchh pal ke liye aa jaao vaapis ,


Hum dil ki kahaani keh denge…


Samje na tum aankho se ;


Voh baat zubaani keh denge….














Zindagi jaise ek sazaa si ho gai hai ,


Gum ke sagar mein is kadar kho gai hai ,


Tum aa jaao vapis yeh gujaarish hai meri ;


Shaayad muje, Tumhaari aadat si ho gai hai…














Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,


tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,


hai meri pyaar mei itna dum,


apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon














Har ishq ka matlab gam nahi hota,


Duriyo se pyar kam nahi hota,


Waqt bewaqt ho jati hai aankhein nam,


Kyonki yaado ka koi mausam nahi hota.














Yaad aate hai to zara kho lete hai


Aasu ankho me uter aye to zara ro lete hai


Nind aakho me aate nahi laken


Aap khwobo me aapge yahi soch kar so lete hai














Ret pe kabhi naam likhte nahi


Jo likhte hai wo naam kabhi tikte nahi,


Log humein patthar dil kahete hai,


Lekin wo jante nahi,


patthar pe likhe naam kabhi mitte nahi

No comments: